People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Ye Rehmat-E-Alam
Music: Usha Khanna
Lyricist: Nida Fazli
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adat-Se-Majboor/Ya-Rehmat-E-A

al madat sahibe kuran rasule arabi
meri mushkil bhi ho aasan rasule arabi
ya rehmat-ae-aalam meri mudad ko aao
ghera hai tabahi ne tabahi se bachao
duniya me fakat ek tumhara hai sahara
ye waqt musibat hai mera saath nibhao
rasule pa rasule pa rasule pa rasule pa

duniya me mere din ki pehchan tumhi ho
har daur me insan ka imaan tumhi ho
kalma hai tumhara mera imaan jaha me
kuran hi mera hai nigehbaan jaha me
dekha nahi tumsa koi rehman jaha me
kispe tumhara nahi ehsaan jaha me
mere bhi gulista ko fizao se bachao
ya rehmat-ae-aalam meri mudad ko aao
rasule pa rasule pa rasule pa rasule pa

majbur duao ka sahara nahi tute
ummid ka daman mere hatho se na chhute
auro ke liye jaan ki bazi jo laga de
aisa na ho ye shamma koi aake bhujha de
naiki ke farishte jo jaha me na rahenge
allah ki har baat pe shaitan hasenge
zinda rahe duniya me wafa hukm sunao
ya rehmat-ae-aalam meri mudad ko aao
rasule pa rasule pa rasule pa rasule pa

takdeer ko garbi se bachana hi padega
haalat ko sar apna jhukana hi padega
darbaar nadi se koi khaali nahi lauta
is waqt mera saath nibhana hi padega
ujde huye is ghar ko bachana hi padega
ujde huye is ghar ko bachana hi padega
Raam Kare Ke Umar Qaid(Female)
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adat-Se-Majboor/Ram-Kare-Ke-U
ram kare ke umar kaid hume saath saath ho jaye
tujhe mujhe tujhe mujhe mujhe tujhe pyar ki lag jaye hatkadiya
tujhe mujhe mujhe tujhe pyar ki lag jaye hatkadiya
sachmuch ho ya sapna ho khushiyo ki na tute ye ladiya
ram kare ke umar kaid hume saath saath ho jaye
tujhe mujhe tujhe mujhe mujhe tujhe pyar ki lag jaye hatkadiya

dekhe bina tujhko sanam chain nahi dil ko
dil ki lagi ban gayi dillagi ki dor
dekhe bina tujhko sanam chain nahi dil ko
dil ki lagi ban gayi dillagi ki dor
haye rama rama ram kare ke umar kaid hume saath saath ho jaye
tujhe mujhe tujhe mujhe mujhe tujhe pyar ki lag jaye hatkadiya

dil ko mere tu jo mila khwab huye rangin
pyar ki ye kothi bhi rajmahal se hasi
dil ko mere tu jo mila khwab huye rangin
pyar ki ye kothi bhi rajmahal se hasi
haye rama rama ram kare ke umar kaid hume saath saath ho jaye
tujhe mujhe tujhe mujhe mujhe tujhe pyar ki lag jaye hatkadiya

pahle to main ek thi, ek se ho gayi do
tere mere do aanewale hai aisa lage mujhko
pahle to main ek thi, ek se ho gayi do
tere mere do aanewale hai aisa lage mujhko
haye rama rama ram kare ke umar kaid hume saath saath ho jaye
tujhe mujhe tujhe mujhe mujhe tujhe pyar ki lag jaye hatkadiya
sachmuch ho ya sapna ho khushiyo ki na tute ye ladiya
ram kare ke umar kaid hume saath saath ho jaye
tujhe mujhe tujhe mujhe mujhe tujhe pyar ki lag jaye hatkadiya
Raam Kare Ke Umar Qaid(Male)
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adat-Se-Majboor/Ram-Kare-Ke-U
ram kare ke umar qaid
hame sath sath ho jaye
tujhe mujhe, tujhe mujhe mujhe tujhe
pyar ki lag jaaye hathkadiya
tujhe mujhe, tujhe mujhe mujhe tujhe
pyar ki lag jaaye hathkadiya
sach much ho ya sapna ho
khushyio ki na tute ye ladiya
ram kare ke umar qaid
hame sath sath ho jaye
tujhe mujhe, tujhe mujhe mujhe tujhe
pyar ki lag jaaye hathkadiya

surat teri dhundha kiye har murat me sanam
tere liye bhatka kiye saare jahaan me sanam
surat teri dhundha kiye har murat me sanam
tere liye bhatka kiye saare jahaan me sanam
ho rama rama
ram kare ke umar qaid
hame sath sath ho jaye
tujhe mujhe, tujhe mujhe mujhe tujhe
pyar ki lag jaaye hathkadiya

tere liye main bana mere liye bani tu
main hu tere tu hai mere bachapan ki aarju
he tere liye main bana mere liye bani tu
main hu tere tu hai mere bachapan ki aarju
ho rama rama
ram kare ke umar qaid
hame sath sath ho jaye
tujhe mujhe, tujhe mujhe mujhe tujhe
pyar ki lag jaaye hathkadiya
sach much ho ya sapna ho
khushyio ki na tute ye ladiya
ram kare ke umar qaid
hame sath sath ho jaye
tujhe mujhe, tujhe mujhe mujhe tujhe lag jaye
pyar ki hathkadiya
Ankh Dilki Jaha Hoti Hai
Music: Usha Khanna
Lyricist: Nida Fazli
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adat-Se-Majboor/Ankh-Dil-Ki-Z
aankh dil ki zubaan hoti hai
jhuth sach ka bayaan hoti hai
bhagwan hai aankhe shaitan hai aankhe
kamzor hai aankhe balwan hai aankhe
ye jhuth nahi kahti parde me nahi rahti
ye jhuth nahi kahti parde me nahi rahti
har daur me insan ki pehchan hai aankhe
har daur me insan ki pehchan hai aankhe

bhagwan hai aankhe shaitan hai aankhe
kamzor hai aankhe balwan hai aankhe
ye jhuth nahi kahti parde me nahi rahti
ye jhuth nahi kahti parde me nahi rahti
har daur me insan ki pehchan hai aankhe
har daur me insan ki pehchan hai aankhe
bhagwan hai aankhe shaitan hai aankhe
kamzor hai aankhe balwan hai aankhe

sachchayi jamane me chupi hai na chupegi
jab parda uthega to har ek baat khulegi
sachchayi jamane me chupi hai na chupegi
jab parda uthega to har ek baat khulegi
mitti ka ghada leke jo pani me chalega
likha hai kitabo me wo bemaut marega
chehra to hai insan ka haiwan hai aankhe
chehra to hai insan ka haiwan hai aankhe
bhagwan hai aankhe shaitan hai aankhe
kamzor hai aankhe balwan hai aankhe

jismo ke khariddar ye izzat ke lutere
choro ki tarah ye roz badalte hai chehre
jismo ke khariddar ye izzat ke lutere
choro ki tarah ye roz badalte hai chehre
daulat ke pujari hai ye sansar hai inka
auro ko mita dena hi vyopar hai inka
mela garibi ka hai dhanwan hai aankhe
mela garibi ka hai dhanwan hai aankhe
bhagwan hai aankhe shaitan hai aankhe
kamzor hai aankhe balwan hai aankhe

jungle ke darinde hai ye kunkhar hai yaaro
mere hi nahi sabke gunhegar hai yaaro
jangal ke darinde hai ye kunkhar hai yaaro
mere hi nahi sabke gunhegar hai yaaro
mujlim hai ye har julam ke tum inko saza do
ye tumko mitate rahe tum inko mita do

inki hi inayat se to bejan hai aankhe
inki hi inayat se to bejan hai aankhe
bhagwan hai aankhe shaitan hai aankhe
kamzor hai aankhe balwan hai aankhe
ye jhuth nahi kahti parde me nahi rahti
ye jhuth nahi kahti parde me nahi rahti
har daur me insan ki pehchan hai aankhe
har daur me insan ki pehchan hai aankhe
bhagwan hai aankhe shaitan hai aankhe
kamzor hai aankhe balwan hai aankhe
ye jhuth nahi kahti parde me nahi rahti
ye jhuth nahi kahti parde me nahi rahti
har daur me insan ki pehchan hai aankhe
har daur me insan ki pehchan hai aankhe

shaitan hai aankhe haiwan hai aankhe
shaitan hai aankhe haiwan hai aankhe
shaitan hai aankhe haiwan hai aankhe
shaitan hai aankhe haiwan hai aankhe
shaitan hai aankhe haiwan hai aankhe
shaitan hai aankhe haiwan hai aankhe
Tera Pyar Mila
Singer: Asha Bhosle
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adat-Se-Majboor/Tera-Pyar-Mil
tera pyar mila didar mila
to humne jana sanam zindagi kitni pyari hai
tera pyar mila didar mila
to humne jana sanam zindagi kitni pyari hai

rangi ye sham isi liye aayi hai ki tu aane wala hai
rangi ye sham isi liye aayi hai ki tu aane wala hai
tere aane se mere dil ka akelapan chale jane wala hai
tu jo aaya paas hua ehsaas mohabbat ka
tera pyar mila didar mila
to humne jana sanam zindagi kitni pyari hai

pyar bada anmol ye dil hai kya
badan hai kya aur kya chiz jawani hai
pyar bada anmol ye dil hai kya
badan hai kya aur kya chiz jawani hai
aur bhi aa najdik mere humdum
tere dam se meri saanso me ravani hai
tu jo aaya paas hua ehsaas zindagi ka
tera pyar mila didar mila
to humne jana sanam zindagi kitni pyari hai
tera pyar mila didar mila
to humne jana sanam zindagi kitni pyari hai
Andarki Baat Hai
Music: Usha Khanna
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Adat-Se-Majboor/Andar-Ki-Baat
andar ki baat hai malik ke haath hai
is me mera kya kasur
andar ki baat hai malik ke haath hai
is me mera kya kasur
main hu aadat se majbur, main hu aadat se majbur
andar ki baat hai malik ke haath hai
is me mera kya kasur

main saudagar bada nirala
bech ke khushiya gam lene wala
angaro ko gale laga lu
auro ko dekar phulo ki mala
bita bita bita bachpan aayi jawani
par na gayi meri aadat purani
pum param pum pum
andar ki baat hai malik ke haath hai
is me mera kya kasur

jab lagti hai chot kisiko dard se mera dil rota hai
jab dekhu main julm kisi par na jane mujhe kya hota hai
khelu khelu khelu khelu khataro se khelu
julm kare jo jaa uski lelu
andar ki baat hai malik ke haath hai
is me mera kya kasur

apne liye to sab jeete hai
auro ki khatir jee kar dekho
apna dukh to sab sahte hai
auro ke aansu pee kar dekho
sikho sikho sikho sikho yahi tarika
jine ka hai bas yahi salika
pum param pum pum
andar ki baat hai malik ke haath hai
is me mera kya kasur
andar ki baat hai malik ke haath hai
is me mera kya kasur
main hu aadat se majbur, main hu aadat se majbur
andar ki baat hai malik ke haath hai
is me mera kya kasur